muddat se jism barf meñ jakḌā huā sā hai
māhaul mere siine meñ baiThā huā sā hai
kohre meñ aañkh phuuT ga.ī tab ḳhabar milī
sūraj mirī talāsh meñ niklā huā sā hai
har aañkh mujh pe paḌtī hai talvār kī tarah
har shaḳhs mere ḳhuuñ meñ nahāyā huā sā hai
nafrat ke jis pahāḌ ke nīche khaḌā huuñ maiñ
vo saarī kā.enāt pe phailā huā sā hai
ghar meñ dhuāñ bharā hai ki baiThūñ to dam ghuTe
bāhar tamām shahr sulagtā huā sā hai
haañ maiñ ġhunūdgī ke dhundalke meñ huuñ asiir
haañ merā zehn sadiyoñ kā jaagā huā sā hai