Manzar Saleem

ek jaise nim-jaan mahaul-o-manzar dur tak

Manzar Saleem

1925-1996
ek jaise nīm-jāñ māhaul-o-manzar duur tak
be-navā be-nām logoñ ke samundar duur tak
bas vahī lafzoñ kī bārish ek sī har abr se
ek se pyāsī zamīnoñ ke muqaddar duur tak
ḳhaak hote ātish-e-ehsās-e-mahrūmī se dil
barf-e-māyūsī meñ jakḌe zehn aksar duur tak
zindagī ko nāginoñ kī tarah Dastī goliyāñ
zahr baḌhtā phailtā andar hī andar duur tak
duur tak kaale dhueñ meñ ḳhuun kī bū tairtī
tairtī aur marsiye likhtī havā par duur tak
Top Urdushayar.com