dariyā haiñ phir bhī milte nahīñ mujh se yaar log
jur.at kahāñ ki sahrā se hoñ ham-kanār log
jaadū fazā kā thā ki havā meñ milā thā zahr
patthar hue jahāñ the vahīñ be-shumār log
ab saaya o samar kī tavaqqo kahāñ ruke
sūkhe hue shajar haiñ sar-e-rahguzār log
dahshat khulī fazā kī qayāmat se kam na thī
girte hue makānoñ meñ aa baiThe yaar log
ik dūsre kā haal nahīñ pūchhtā koī
ik dūsre kī maut pe haiñ sharmsār log
sūraj chaḌhā to pighlī bahut choTiyoñ kī barf
āñdhī chalī to ukhḌe bahut sāya-dār log