Javed Akhtar

yaqin ka agar koi bhi silsila nahin raha

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
yaqīn kā agar koī bhī silsila nahīñ rahā
to shukr kījiye ki ab koī gilā nahīñ rahā
na hijr hai na vasl hai ab is ko koī kyā kahe
ki phuul shāḳh par to hai magar khilā nahīñ rahā
ḳhazāna tum na paa.e to ġharīb jaise ho ga.e
palak pe ab koī bhī motī jhilmilā nahīñ rahā
badal ga.ī hai zindagī badal ga.e haiñ log bhī
ḳhulūs kā jo thā kabhī vo ab silā nahīñ rahā
jo dushmanī baḳhīl se huī to itnī ḳhair hai
ki zahr us ke paas hai magar pilā nahīñ rahā
lahū meñ jazb ho sakā na ilm to ye haal hai
koī savāl zehn ko jo de jalā nahīñ rahā
Top Urdushayar.com