na ḳhushī de to kuchh dilāsa de
dost jaise ho mujh ko bahlā de
āgahī se milī hai tanhā.ī
aa mirī jaan mujh ko dhoka de
ab to takmīl kī bhī shart nahīñ
zindagī ab to ik tamannā de
ai safar itnā rā.egāñ to na jā
na ho manzil kahīñ to pahuñchā de
tark karnā hai gar ta.alluq to
ḳhud na jā tū kisī se kahlā de