sūkhī Tahnī tanhā chiḌiyā phīkā chāñd
āñkhoñ ke sahrā meñ ek namī kā chāñd
us māthe ko chūme kitne din biite
jis māthe kī ḳhātir thā ik Tiikā chāñd
pahle tū lagtī thī kitnī begāna
kitnā mub.ham hotā hai pahlī kā chāñd
kam ho kaise in ḳhushiyoñ se terā ġham
lahroñ meñ kab bahtā hai naddī kā chāñd
aao ab ham is ke bhī TukḌe kar leñ
Dhāka rāvalpinDī aur dillī kā chāñd