jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā
mujhe pāmāl rastoñ kā safar achchhā nahīñ lagtā
ġhalat bātoñ ko ḳhāmoshī se sunñā haamī bhar lenā
bahut haiñ fā.ede is meñ magar achchhā nahīñ lagtā
mujhe dushman se bhī ḳhuddārī kī ummīd rahtī hai
kisī kā bhī ho sar qadmoñ meñ sar achchhā nahīñ lagtā
bulandī par unheñ miTTī kī ḳhushbū tak nahīñ aatī
ye vo shāḳheñ haiñ jin ko ab shajar achchhā nahīñ lagtā
ye kyuuñ baaqī rahe ātish-zano ye bhī jalā Daalo
ki sab be-ghar hoñ aur merā ho ghar achchhā nahīñ lagtā