Javed Akhtar

kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujhko teri talash kyun hai

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
kabhī kabhī maiñ ye sochtā huuñ ki mujh ko terī talāsh kyuuñ hai
ki jab haiñ saare hī taar TuuTe to saaz meñ irti.āsh kyuuñ hai
koī agar pūchhtā ye ham se batāte ham gar to kyā batāte
bhalā ho sab kā ki ye na pūchhā ki dil pe aisī ḳharāsh kyuuñ hai
uThā ke hāthoñ se tum ne chhoḌā chalo na dānista tum ne toḌā
ab ulTā ham se to ye na pūchho ki shīsha ye paash paash kyuuñ hai
ajab do-rāhe pe zindagī hai kabhī havas dil ko khīñchtī hai
kabhī ye sharmindagī hai dil meñ ki itnī fikr-e-ma.āsh kyuuñ hai
na fikr koī na justujū hai na ḳhvāb koī na aarzū hai
ye shaḳhs to kab kā mar chukā hai to be-kafan phir ye laash kyuuñ hai
Top Urdushayar.com