Javed Akhtar

main KHud bhi sochta hun ye kya mera haal hai

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
maiñ ḳhud bhī sochtā huuñ ye kyā merā haal hai
jis kā javāb chāhiye vo kyā savāl hai
ghar se chalā to dil ke sivā paas kuchh na thā
kyā mujh se kho gayā hai mujhe kyā malāl hai
āsūdgī se dal ke sabhī daaġh dhul ga.e
lekin vo kaise jaa.e jo shīshe meñ baal hai
be-dast-o-pā huuñ aaj to ilzām kis ko duuñ
kal maiñ ne hī bunā thā ye merā hī jaal hai
phir koī ḳhvāb dekhūñ koī aarzū karūñ
ab ai dil-e-tabāh tirā kyā ḳhayāl hai
Top Urdushayar.com