shukr hai ḳhairiyat se huuñ sāhab
aap se aur kyā kahūñ sāhab
ab samajhne lagā huuñ sūd-o-ziyāñ
ab kahāñ mujh meñ vo junūñ sāhab
zillat-e-zīst yā shikast-e-zamīr
ye sahūñ maiñ ki vo sahūñ sāhab
ham tumheñ yaad karte ro lete
do-ghaḌī miltā jo sukūñ sāhab
shaam bhī Dhal rahī hai ghar bhī hai duur
kitnī der aur maiñ rukūñ sāhab
ab jhukūñgā to TuuT jā.ūñgā
kaise ab aur maiñ jhukūñ sāhab
kuchh rivāyāt kī gavāhī par
kitnā jurmāna maiñ bharūñ sāhab