vo Dhal rahā hai to ye bhī rañgat badal rahī hai
zamīn sūraj kī uñgliyoñ se phisal rahī hai
jo mujh ko zinda jalā rahe haiñ vo be-ḳhabar haiñ
ki merī zanjīr dhīre dhīre pighal rahī hai
maiñ qatl to ho gayā tumhārī galī meñ lekin
mire lahū se tumhārī dīvār gal rahī hai
na jalne paate the jis ke chūlhe bhī har savere
sunā hai kal raat se vo bastī bhī jal rahī hai
maiñ jāntā huuñ ki ḳhāmushī meñ hī maslahat hai
magar yahī maslahat mire dil ko khal rahī hai
kabhī to insān zindagī kī karegā izzat
ye ek ummīd aaj bhī dil meñ pal rahī hai