Javed Akhtar

sari hairat hai meri sari ada uski hai

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
saarī hairat hai mirī saarī adā us kī hai
be-gunāhī hai mirī aur sazā us kī hai
mere alfāz meñ jo rañg hai vo us kā hai
mere ehsās meñ jo hai vo fazā us kī hai
sher mere haiñ magar in meñ mohabbat us kī
phuul mere haiñ magar bād-e-sabā us kī hai
ik mohabbat kī ye tasvīr hai do rañgoñ meñ
shauq sab merā hai aur saarī hayā us kī hai
ham ne kyā us se mohabbat kī ijāzat lī thī
dil-shikan hī sahī par baat bajā us kī hai
ek mere hī sivā sab ko pukāre hai koī
maiñ ne pahle hī kahā thā ye sadā us kī hai
ḳhuun se sīñchī hai maiñ ne jo zamīñ mar mar ke
vo zamīñ ek sitam-gar ne kahā us kī hai
us ne hī is ko ujāḌā hai ise luuTā hai
ye zamīñ us kī agar hai bhī to kyā us kī hai
Top Urdushayar.com