Javed Akhtar

dast-bardar agar aap ghazab se ho jaen

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
dast-bardār agar aap ġhazab se ho jaa.eñ
har sitam bhuul ke ham aap ke ab se ho jaa.eñ
chaudhvīñ shab hai to khiḌkī ke girā do parde
kaun jaane ki vo nārāz hī shab se ho jaa.eñ
ek ḳhushbū kī tarah phailte haiñ mahfil meñ
aise alfāz adā jo tire lab se ho jaa.eñ
na koī ishq hai baaqī na koī parcham hai
log dīvāne bhalā kis ke sabab se ho jaa.eñ
bāñdh lo haath ki phaileñ na kisī ke aage
sī lo ye lab ki kahīñ vo na talab se ho jaa.eñ
baat to chheḌ mire dil koī qissa to sunā
kyā ajab un ke bhī jazbāt ajab se ho jaa.eñ
Top Urdushayar.com