ġham hote haiñ jahāñ zehānat hotī hai
duniyā meñ har shai kī qīmat hotī hai
akasr vo kahte haiñ vo bas mere haiñ
akasr kyuuñ kahte haiñ hairat hotī hai
tab ham donoñ vaqt churā kar laate the
ab milte haiñ jab bhī fursat hotī hai
apnī mahbūba meñ apnī maañ dekheñ
bin maañ ke laḌkoñ kī fitrat hotī hai
ik kashtī meñ ek qadam hī rakhte haiñ
kuchh logoñ kī aisī aadat hotī hai