abhī zamīr meñ thoḌī sī jaan baaqī hai
abhī hamārā koī imtihān baaqī hai
hamāre ghar ko to ujḌe hue zamāna huā
magar sunā hai abhī vo makān baaqī hai
hamārī un se jo thī guftugū vo ḳhatm huī
magar sukūt sā kuchh darmiyān baaqī hai
hamāre zehn kī bastī meñ aag aisī lagī
ki jo thā ḳhaak huā ik dukān baaqī hai
vo zaḳhm bhar gayā arsa huā magar ab tak
zarā sā dard zarā sā nishān baaqī hai
zarā sī baat jo phailī to dāstān banī
vo baat ḳhatm huī dāstān baaqī hai
ab aayā tiir chalāne kā fan to kyā aayā
hamāre haath meñ ḳhālī kamān baaqī hai