ham ne DhūñDeñ bhī to DhūñDeñ haiñ sahāre kaise
in sarāboñ pe koī umr guzāre kaise
haath ko haath nahīñ sūjhe vo tārīkī thī
aa ga.e haath meñ kyā jaane sitāre kaise
har taraf shor usī naam kā hai duniyā meñ
koī us ko jo pukāre to pukāre kaise
dil bujhā jitne the armān sabhī ḳhaak hue
raakh meñ phir ye chamakte haiñ sharāre kaise
na to dam letī hai tū aur na havā thamtī hai
zindagī zulf tirī koī sañvāre kaise