misāl is kī kahāñ hai koī zamāne meñ
ki saare khone ke ġham paa.e ham ne paane meñ
vo shakl pighlī to har shai meñ Dhal ga.ī jaise
ajiib baat huī hai use bhulāne meñ
jo muntazir na milā vo to ham haiñ sharminda
ki ham ne der lagā dī palaT ke aane meñ
latīf thā vo taḳhayyul se ḳhvāb se nāzuk
gañvā diyā use ham ne hī āzmāne meñ
samajh liyā thā kabhī ik sarāb ko dariyā
par ik sukūn thā ham ko fareb khāne meñ
jhukā daraḳht havā se to āñdhiyoñ ne kahā
ziyāda farq nahīñ jhukne TuuT jaane meñ