ba-zāhir kyā hai jo hāsil nahīñ hai
magar ye to mirī manzil nahīñ hai
ye tuuda ret kā hai beach dariyā
ye bah jā.egā ye sāhil nahīñ hai
bahut āsān hai pahchān us kī
agar dukhtā nahīñ to dil nahīñ hai
musāfir vo ajab hai kārvāñ meñ
ki jo hamrāh hai shāmil nahīñ hai
bas ik maqtūl hī maqtūl kab hai
bas ik qātil hī to qātil nahīñ hai
kabhī to raat ko tum raat kah do
ye kaam itnā bhī ab mushkil nahīñ hai