dard ke phuul bhī khilte haiñ bikhar jaate haiñ
zaḳhm kaise bhī hoñ kuchh roz meñ bhar jaate haiñ
rāsta roke khaḌī hai yahī uljhan kab se
koī pūchhe to kaheñ kyā ki kidhar jaate haiñ
chhat kī kaḌiyoñ se utarte haiñ mire ḳhvāb magar
merī dīvāroñ se Takrā ke bikhar jaate haiñ
narm alfāz bhalī bāteñ mohazzab lahje
pahlī bārish hī meñ ye rañg utar jaate haiñ
us darīche meñ bhī ab koī nahīñ aur ham bhī
sar jhukā.e hue chup-chāp guzar jaate haiñ