ye tasallī hai ki haiñ nāshād sab
maiñ akelā hī nahīñ barbād sab
sab kī ḳhātir haiñ yahāñ sab ajnabī
aur kahne ko haiñ ghar ābād sab
bhuul ke sab ranjisheñ sab ek haiñ
maiñ batā.ūñ sab ko hogā yaad sab
sab ko da.avā-e-vafā sab ko yaqīñ
is adākārī meñ haiñ ustād sab
shahr ke hākim kā ye farmān hai
qaid meñ kahlā.eñge āzād sab
chaar lafzoñ meñ kaho jo bhī kaho
us ko kab fursat sune fariyād sab
talḳhiyāñ kaise na huuñ ash.ār meñ
ham pe jo guzrī hameñ hai yaad sab