hañste hue hurūf meñ jis ko adā karūñ
bachchoñ se kis jahāñ kī kahānī kahā karūñ
yā rab azāb-e-harf-o-taḳhaiyyul se de najāt
ġhazleñ kahā karūñ na mazāmīñ likhā karūñ
qadmoñ meñ kis ke Daal duuñ ye naam ye nasab
kuchh to batāo kis kā qasīda paḌhā karūñ
ab tak to apne aap se pīchhā na chhuT sakā
mumkin hai kal se aap ke haq meñ duā karūñ
kitnī na.ī zabān ho kaisā nayā suḳhan
is ahd ko to dekh luuñ 'ġhālib' ko kyā karūñ
'shahpar' mirī hadoñ kā ta.ayyun kare koī
āñkhoñ se bah rahūñ ki ragoñ meñ phirā karūñ