Javed Akhtar

jab aaina koi dekho ek ajnabi dekho

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
jab ā.īna koī dekho ik ajnabī dekho
kahāñ pe laa.ī hai tum ko ye zindagī dekho
mohabbatoñ meñ kahāñ apne vāste fursat
jise bhī chāhe vo chāhe mirī ḳhushī dekho
jo ho sake to ziyāda hī chāhnā mujh ko
kabhī jo merī mohabbat meñ kuchh kamī dekho
jo duur jaa.e to ġham hai jo paas aa.e to dard
na jaane kyā hai vo kambaḳht aadmī dekho
ujālā to nahīñ kah sakte is ko ham lekin
zarā sī kam to huī hai ye tīrgī dekho
Top Urdushayar.com