nigal ga.e sab kī sab samundar zamīñ bachī ab kahīñ nahīñ hai
bachāte ham apnī jaan jis meñ vo kashtī bhī ab kahīñ nahīñ hai
bahut dinoñ ba.ad paa.ī fursat to maiñ ne ḳhud ko palaT ke dekhā
magar maiñ pahchāntā thā jis ko vo aadmī ab kahīñ nahīñ hai
guzar gayā vaqt dil pe likh kar na jaane kaisī ajiib bāteñ
varaq palaTtā huuñ maiñ jo dil ke to sādgī ab kahīñ nahīñ hai
vo aag barsī hai dopahar meñ ki saare manzar jhulas ga.e haiñ
yahāñ savere jo tāzgī thī vo tāzgī ab kahīñ nahīñ hai
tum apne qasboñ meñ jā ke dekho vahāñ bhī ab shahr hī base haiñ
ki DhūñDhte ho jo zindagī tum vo zindagī ab kahīñ nahīñ hai