Javed Akhtar

mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
mujh ko yaqīñ hai sach kahtī thiiñ jo bhī ammī kahtī thiiñ
jab mere bachpan ke din the chāñd meñ pariyāñ rahtī thiiñ
ek ye din jab apnoñ ne bhī ham se naata toḌ liyā
ek vo din jab peḌ kī shāḳheñ bojh hamārā sahtī thiiñ
ek ye din jab saarī saḌkeñ rūThī rūThī lagtī haiñ
ek vo din jab aao kheleñ saarī galiyāñ kahtī thiiñ
ek ye din jab jaagī rāteñ dīvāroñ ko taktī haiñ
ek vo din jab shāmoñ kī bhī palkeñ bojhal rahtī thiiñ
ek ye din jab zehn meñ saarī ayyārī kī bāteñ haiñ
ek vo din jab dil meñ bholī-bhālī bāteñ rahtī thiiñ
ek ye din jab lākhoñ ġham aur kaal paḌā hai aañsū kā
ek vo din jab ek zarā sī baat pe nadiyāñ bahtī thiiñ
ek ye ghar jis ghar meñ merā sāz-o-sāmāñ rahtā hai
ek vo ghar jis ghar meñ merī būḌhī naanī rahtī thiiñ
Top Urdushayar.com