yaad use bhī ek adhūrā afsāna to hogā
kal raste meñ us ne ham ko pahchānā to hogā
Dar ham ko bhī lagtā hai raste ke sannāTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanā to hogā
kuchh bātoñ ke matlab haiñ aur kuchh matlab kī bāteñ
jo ye farq samajh legā vo dīvāna to hogā
dil kī bāteñ nahīñ hai to dilchasp hī kuchh bāteñ hoñ
zinda rahnā hai to dil ko bahlānā to hogā
jiit ke bhī vo sharminda hai haar ke bhī ham nāzāñ
kam se kam vo dil hī dil meñ ye maanā to hogā