Javed Akhtar

dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
dukh ke jañgal meñ phirte haiñ kab se maare maare log
jo hotā hai sah lete haiñ kaise haiñ bechāre log
jīvan jīvan ham ne jag meñ khel yahī hote dekhā
dhīre dhīre jiitī duniyā dhīre dhīre haare log
vaqt singhāsan par baiThā hai apne raag sunātā hai
sañgat dene ko paate haiñ sāñsoñ ke uktāre log
nekī ik din kaam aatī hai ham ko kyā samjhāte ho
ham ne be-bas marte dekhe kaise pyāre pyāre log
is nagrī meñ kyuuñ miltī hai roTī sapnoñ ke badle
jin kī nagrī hai vo jāneñ ham Thahre banjāre log
Top Urdushayar.com