hamāre dard kī jānib ishārā kartī haiñ
faqat kahāniyāñ ham ko gavārā kartī haiñ
ye sādgī ye najābat jo aib haiñ mere
sunā thā in pe to nasleñ guzārā kartī haiñ
ḳhud apne sāmne DaT jaatī haiñ jo shaḳhsiyateñ
vo jīt.tī haiñ kisī se na haarā kartī haiñ
sharīf log ki jaise sukūt-e-āb-e-ravāñ
kuchh ek maujeñ magar sar ubhārā kartī haiñ
badal ga.e haiñ irāde to hasratoñ meñ magar
kuchh ārzūeñ abhī istiḳhārā kartī haiñ
sitāre un kī chamak meñ samānā chāhte haiñ
magar vo āñkheñ falak ko sitārā kartī haiñ
bajā haiñ apne masā.il bajā haiñ apnī hudūd
kahīñ kināroñ se lahreñ kinārā kartī haiñ
zabān-e-shahr to paivand-e-ḳhāk-e-jahal huī
magar vo mahfileñ ab bhī pukārā kartī haiñ