nasab ye hai ki vo dushman ko kam-nasab na kahe
ajab ye hai ki ye duniyā use ajab na kahe
mirī nigāh junūñ meñ ye baat bhuul ga.ī
ki kab kahe mire jazbāt aur kab na kahe
vo barhamī kī jo ik dāstāñ thī ḳhatm huī
use kaho ki vo us se vo baat ab na kahe
vo be-zabān nahīñ hai to kam-nazar hogā
jo chashm o lab tire dekhe magar ġhazab na kahe
use bhī hai mire jiine kī aarzū 'shahpar'
sukūn hai ki ye ash.ār be-sabab na kahe