be-intihā honā hai to is ḳhaak ke ho jaao
imkāñ kī masāfat karo aflāk ke ho jaao
sab qissoñ ko chhoḌo dil-e-sad-chāk ke ho jaao
is daur-e-junūñ-ḳhez meñ idrāk ke ho jaao
ḳhushiyoñ se kahāñ rabt hai ham ko bhī tumheñ bhī
aa jaao isī lamha-e-namnāk ke ho jaao
is baaġh meñ shamshīr-e-havā se na bachoge
ḳhush rañg ho jaao kisī poshāk ke ho jaao
be-zā.eqa hone se yahī zā.iqa achchhā
ashjār se utro ḳhas-o-ḳhāshāk ke ho jaao
sar-poshī kā fan hāthoñ ko sikhlāo vagarna
be-āñkh ke be-kān ke be-nāk ke ho jaao
'shahpar' kī tarah ḳhaak se uḌte hī phiroge
banñā hai to bas jaao kisī chaak ke ho jaao