Shehpar Rasool

na koi KHwab na mazi hi mere haal ke pas

Shehpar Rasool

Bachhraon, Uttar pradesh, India

1956
na koī ḳhvāb na maazī hī mere haal ke paas
koī kamāl na Thahrā mire zavāl ke paas
na mīThe lafz na lahja hī indimāl ke paas
javāb kā to guzar bhī nahīñ savāl ke paas
firāq o vasl ke ma.anī badal ke rakh degā
tire ḳhayāl kā honā mire ḳhayāl ke paas
masarratoñ ke dukhoñ kā to zikr bhī bekār
kahāñ hai koī mudāvā kisī malāl ke paas
nahīñ hai koī bhī sarhad mire junūñ aage
jahān-e-husn-e-jahāñ hai tire jamāl ke paas
shikāriyoñ kī ummīdeñ sañvartī rahtī haiñ
tuyūr ghūmte phirte haiñ ḳhuub jaal ke paas
tumhāre lafz use khīñchte to the 'shahpar'
junūb kaise pahuñchtā magar shumāl ke paas
Top Urdushayar.com