kab chalā jaatā hai 'shahpar' koī aa ke sāmne
suuī kā girnā bhī kyā āvāz-e-pā ke sāmne
roz be-maqsad ḳhushāmad qatl kartī hai use
roz mar jaatā hai vo apnī anā ke sāmne
karb kī masmūm lahreñ tez tar hone lagīñ
rakh diyā kis ne charāġh-e-dil havā ke sāmne
qalb kī gahrā.iyoñ meñ sirf terā aks hai
dekh le kyā kah rahā huuñ maiñ ḳhudā ke sāmne
roz koī aas bhar jaatī hai in meñ rañg-e-yās
roz rakh letā huuñ maiñ ḳhāke banā ke sāmne
dūsroñ ke zaḳhm bun kar oḌhnā āsāñ nahīñ
sab qabā.eñ hech haiñ merī ridā ke sāmne