ḳhud ko ḳhud par hī jo ifshā kabhī karnā paḌ jaa.e
jaise jiine kī bahut chaah meñ marnā paḌ jaa.e
aisā ik vaqt jab aatā hai to kyā karte ho
dil jo karnā nahīñ chāhe vahī karnā paḌ jaa.e
ho to mahtāb ke ham-raqs magar aisā na ho
dāman-e-chashm sitāroñ hī se bharnā paḌ jaa.e
jis ko dekhā na kabhī jis kī tamannā bhī na kī
paañv usī shahr ke raste pe jo dharnā paḌ jaa.e
sūrat-e-ashk-e-nadāmat hī sahī ai 'shahpar'
merī āñkhoñ se kabhī us ko guzarnā paḌ jaa.e