phir se vahī hālāt haiñ imkāñ bhī vahī hai
ham bhī haiñ vahī mas.ala-e-jāñ bhī vahī hai
kuchh bhī nahīñ badlā hai yahāñ kuchh nahīñ badlā
āñkheñ bhī vahī ḳhvāb-e-pareshāñ bhī vahī hai
ye jaal bhī us ne hī bichhāyā thā usī ne
ḳhush ḳhush bhī vahī shaḳhs thā hairāñ bhī vahī hai
ai vaqt kahīñ aur nazar Daal ye kyā hai
muddat ke vahī haath garebāñ bhī vahī hai
kal shaam jo āñkhoñ se chhalak aayā thā merī
tum ḳhush ho ki us shaam kā unvāñ bhī vahī hai
har tiir usī kā hai har ik zaḳhm usī kā
har zaḳhm pe añgusht ba-dandāñ bhī vahī hai
'shahpar' vahī bhūlā huā qissa vahī phir se
achchhā hai tirī shaan ke shāyāñ bhī vahī hai