koī saaya na koī ham-sāya
āb-o-dāna ye kis jagah laayā
dost bhī mere achchhe achchhe haiñ
ik muḳhālif bahut pasand aayā
halkā halkā sā ik ḳhayāl sā kuchh
bhīnī bhīnī sī dhuup aur chhāyā
ik adā thī ki raah roktī thī
ik anā thī ki jis ne uksāyā
ham bhī sāhib dilāñ meñ aate haiñ
ye tire ruup kī hai sab maayā
chal paḌe haiñ to chal paḌe sā.īñ
koī saudā na koī sarmāyā
us kī mahfil to merī mahfil thī
bas jahāñ-dāriyoñ se uktāyā
sab ne tārīf kī mirī 'shahpar'
aur maiñ ahmaq bahut hī sharmāyā