Mazhar Abbas

tera chehra jo mere dil mein utar aaya hai

Mazhar Abbas

Barabanki, Uttar pradesh, India

1994
terā chehra jo mere dil meñ utar aayā hai
har bashar sañg liye mujh ko nazar aayā hai
kitnī maġhrūr thī ye raat abhī tak lekin
ek nanhā sā diyā le ke sahar aayā hai
jis ko paalā thā mohabbat se hamesha maiñ ne
āstīnoñ meñ vo chhup kar mere ghar aayā hai
bad-duā.eñ to ġharīboñ kī nahīñ haiñ tujh par
tū jo shohrat kī bulandī se utar aayā hai
manzil-e-ishq ko āsān samajhne vāloñ
kitne sahrāoñ se guzrā huuñ to ghar aayā hai
ye chaman yuuñ hī to sarsabz nahīñ hai 'maz.har'
ham ne sīñchā hai lahū se to samar aayā hai
Top Urdushayar.com