Mazhar Abbas

sher achchha ho to phir dad mila karti hai

Mazhar Abbas

Barabanki, Uttar pradesh, India

1994
sher achchhā ho to phir daad milā kartī hai
kahīñ āvāz kitāboñ meñ chhupā kartī hai
ek lamha bhī farishta nahīñ hone detī
koī to shai hai jo bātin meñ ḳhatā kartī hai
chain se mujh ko tirā husn na jiine degā
dil kī bastī hai ki har roz luTā kartī hai
pyaas kaisī thī behtar kī tumheñ kyā ma.alūm
kyuuñ furāt aaj bhī ro ro ke bahā kartī hai
tum vafā karte raho shahr-e-talab meñ 'maz.har'
karne do us ko ye duniyā jo jafā kartī hai
Top Urdushayar.com