yaad jo tujh ko kar rahe haiñ ham
kyā haqīqat meñ mar rahe haiñ ham
terī furqat meñ vaqt kī sūrat
rafta rafta guzar rahe haiñ ham
kal mirī ruuh ne kahā mujh se
jism se kah do mar rahe haiñ ham
aaj tere ruḳh-e-munavvar se
nuur āñkhoñ meñ bhar rahe haiñ ham
jaise jaise vo tanz karte haiñ
vaise vaise nikhar rahe haiñ ham
yaad us kī na aa.e kyuuñ 'maz.har'
muddatoñ ham-safar rahe haiñ ham