Mazhar Abbas

zindagi ki saKHt rahon se guzar jaane ke baad

Mazhar Abbas

Barabanki, Uttar pradesh, India

1994
zindagī kī saḳht rāhoñ se guzar jaane ke ba.ad
chand āñkheñ ro rahī haiñ mere mar jaane ke ba.ad
bas yahī to soch ke maiñ TuuT kar bikhrā nahīñ
kyuuñ sameTegā mujhe koī bikhar jaane ke ba.ad
mahv-e-hairat haiñ malak jab uljhī zulfeñ dekh kar
Dhā.egī ab tū qayāmat ban-sañvar jaane ke ba.ad
pastiyāñ terā muqaddar ban ga.ī haiñ āj-kal
ye sazā hai merī nazroñ se utar jaane ke ba.ad
jā rahe ho chhoḌ kar 'maz.har' use to soch lo
phuul meñ lauTī hai kab ḳhushbū bikhar jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com