be-ḳhayālī meñ tirā imkān rahne ke liye
muflisī meñ aa gayā mehmān rahne ke liye
aap ke armāñ ko dil se khīñch kar bāhar kiyā
ab kahāñ jā.eñge ye shaitān rahne ke liye
shahr ke hālāt se do-chār ho kar aa ga.e
dākuoñ ke beach ab darbān rahne ke liye
din dahāḌe ḳhvāb kyuuñ palkoñ pe marne aa gayā
ye jagah hargiz nahīñ āsān rahne ke liye
itne barsoñ baad phir kyuuñ aaj aisā lag rahā
aa ga.e kamre meñ do anjān rahne ke liye
ishq meñ āñgan darīche DhūñDhnā mat 'shāziya'
aa ga.ī hai jail meñ nādān rahne ke liye