Shehpar Rasool

meri nazar ka muddaa uske siwa kuchh bhi nahin

Shehpar Rasool

Bachhraon, Uttar pradesh, India

1956
merī nazar kā mudda.ā us ke sivā kuchh bhī nahīñ
us ne kahā kyā baat hai maiñ ne kahā kuchh bhī nahīñ
har zehn ko saudā huā har aañkh ne kuchh paḌh liyā
lekin sar-e-qirtās-e-jāñ maiñ ne likhā kuchh bhī nahīñ
dīvār-e-shahr-e-asr par kyā qāmateñ chaspāñ huiiñ
koshish to kuchh maiñ ne bhī kī lekin banā kuchh bhī nahīñ
jis se na kahnā thā kabhī jis se chhupānā thā sabhī
sab kuchh usī se kah diyā mujh se kahā kuchh bhī nahīñ
chalnā hai rāh-e-zīst meñ apne hī saath ek umr tak
kahne ko hai ik vāqi.a aur vāqi.a kuchh bhī nahīñ
ab ke bhī ik āñdhī chalī ab ke bhī sab kuchh uḌ gayā
ab ke bhī sab bāteñ huiiñ lekin huā kuchh bhī nahīñ
dil ko bachāne ke liye jaañ ko sipar karte rahe
logoñ se āḳhir kyā kaheñ 'shahpar' bachā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com