zarūr vaqt hī kuchh chaal chal rahā hogā
vahī bisāt pe mohre badal rahā hogā
utar rahā hai sabhī rāstoñ se ik dariyā
pahāḌ barf kā koī pighal rahā hogā
use khilaune diye the kisī ne bachpan ke
vo ek paaoñ pe ab bhī uchhal rahā hogā
libās apnā badal aayā thā bahut pahle
vo ab to shakl hī apnī badal rahā hogā
nahīñ hai aur kisī meñ ye hausla itnā
havā ke saath parinda hī chal rahā hogā
havā yūñhī nahīñ aatī hai ġhusse meñ 'sīmā'
charāġh koī kahīñ par to jal rahā hogā