haqīqat ziist kī samjhā nahīñ hai
vo apne dasht se guzrā nahīñ hai
añdhere raqs karte haiñ musalsal
ki sūraj raat ko aatā nahīñ hai
karegā ḳhud-kushī hī ek din vo
sukūñ jis zehn ko miltā nahīñ hai
uThā.e ghūmtī hai zard patte
havā se aur kuchh chaltā nahīñ hai
na Duubo sham.a meñ parvāno tum, ye
dahaktī aag hai dariyā nahīñ hai
umañgoñ kī ka.ī nadiyāñ haiñ is meñ
samundar hai ye dil sahrā nahīñ hai
ye jo ātish-fishāñ hai mujh meñ 'sīmā'
dahaktā rahtā hai bujhtā nahīñ hai