Seema Sharma Meeruthi

suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi maine

Seema Sharma Meeruthi

sunī na dasht yā dariyā kī bhī kabhī maiñ ne
ki be-ḳhudī meñ guzārī hai zindagī maiñ ne
bitā.ī maut ke saaye meñ zindagī apnī
binā hī zahr ke kar lī hai ḳhud-kushī maiñ ne
nadī ho taal samundar yā dasht ho koī
sabhī ke lab pe hī dekhī hai tishnagī maiñ ne
kabhī to merā kahā maan zindagī merī
tirī ḳhushī meñ hī paa.ī hai har ḳhushī maiñ ne
kabhī hai sard kabhī garm se libāsoñ meñ
havā ko dī hai ka.ī baar oḌhnī maiñ ne
tire liye to zamīñ āsmān ek kiye
kahāñ kahāñ na talāshā tujhe ḳhushī maiñ ne
udheḌtā hī rahā tū yaqīn kī chādar
tamām umr rafū kī silā.ī kī maiñ ne
tumhārī yaad ke paude lagā ke is dil meñ
fazā-e-dil meñ bhī ḳhushbū sī ghol dī maiñ ne
gulāb kī kalī 'sīmā' nikhrī hai jab
tumhāre ishq kī shabnam kī buuñd pī maiñ ne
Top Urdushayar.com