lailā kā agar mujh ko kirdār milā hotā
majnūñ sā kahānī ko ādhār milā hotā
sahrā meñ nikal jaatā dariyā bhī sarāboñ se
gar kalpanā ko merī ākār milā hotā
pal bhar kī mohabbat meñ jaañ tak bhī maiñ de detī
afsos nahīñ hotā gar pyaar milā hotā
hotī na mahā-bhārat yā koī baġhāvat phir
haqdār ko jo us kā adhikār milā hotā
ayyāsh amīroñ ke laḌke na bigaḌte gar
aurat ko na phir koī bāzār milā hotā
bhūke na bhaTakte phir din raat parinde ye
jo in ko shajar koī phaldār milā hotā
maiñ nūr-jahāñ hotī us saltanat kī 'sīmā'
gar mujh ko jahāñgīrī darbār milā hotā