mere ḳhatoñ ko jalāne se kuchh nahīñ hogā
havā meñ raakh uḌāne se kuchh nahīñ hogā
samajhne vaale to dil kī zabāñ samajhte haiñ
mohabbatoñ ko jatāne se kuchh nahīñ hogā
sitam-zarīfī rahī vaqt kī jo dil TuuTā
kisī pe dosh lagāne se kuchh nahīñ hogā
na.ī uḌaan kī ḳhātir paroñ ko tol zarā
qafas meñ shor machāne se kuchh nahīñ hogā
koī to tiir nishāne pe Thiik se pahuñche
havā meñ tiir chalāne se kuchh nahīñ hogā
na.e guloñ ko khilāo dil-e-zamīn pe tum
dil ye kabāb banāne se kuchh nahīñ hogā
na.ī umiid na.e rāste talāsh karo
hamesha marsiya gaane se kuchh nahīñ hogā
badan se ruuh nikal bhī chukī hai ab hamdam
fuzūl ashk bahāne se kuchh nahīñ hogā
zabāñ se baat ka.ī sach nikal ga.ī ho gar
bahāne laakh banāne se kuchh nahīñ hogā
tumhāre jaane se patthar meñ Dhal chukī 'sīmā'
tumhāre lauT ke aane se kuchh nahīñ hogā