R P Shokh

puchhoge to khul jaegi zaKHmon ki zaban aur

R P Shokh

pūchhoge to khul jā.egī zaḳhmoñ kī zabāñ aur
purshish to guzartī hai ġham-e-dil pe girāñ aur
manzūr jalānā hai to ik baar jalā do
yuuñ dil ke sulagne se to uThtā hai dhuāñ aur
ḳhāmoshī ne rusvā.ī ke gul aur khilā.e
dafnāyā mohabbat ko to ubhre haiñ nishāñ aur
us jaisā zamāne meñ koī ek to hotā
us dar se uTheñ uTh ke magar jaa.eñ kahāñ aur
chūmegā tire paañv ko ḳhud markaz-e-ummīd
haañ raqs meñ aa raqs meñ aa umr-e-ravāñ aur
tā-umr sunā kījiye ab naġhma-e-ḳhāmosh
kahte na the nāzuk hai na chheḌo rag-e-jāñ aur
Top Urdushayar.com