aage tum ho to jafāoñ kā qalaq yaad nahīñ
dil vo bachcha hai jise pahlā sabaq yaad nahīñ
kyā batā.eñ ki thī kyā sub.h-e-azal vo sūrat
is kaḌī dhuup meñ aariz kī shafaq yaad nahīñ
jaane kis gaam khuleñ us ke tabassum ke rumūz
aa chuke kitne hī nairañg ufaq yaad nahīñ
umr-e-rafta meñ tirā naam bhī likkhā thā kahīñ
le gayā kaun uḌā kar vo varaq yaad nahīñ
jabr-e-duniyā meñ vo collage kā zamāna bhūlā
the kitāboñ meñ likhe kaun se haq yaad nahīñ
jañg se mas.ale hal karne chale ho logo
tumheñ tārīḳh kā ek ek sabaq yaad nahīñ