us ko barsoñ ba.ad tanhā jaane maiñ kaisā lagā
mujh ko to vo ajnabī ke saath bhī achchhā lagā
ek muddat se na dekhā thā uThā kar us kā ġham
us kā ġham bhī gard meñ lipTā huā tohfa lagā
thī likhā.ī bhī usī kī dastaḳhat bhī us ke the
kyuuñ ḳhat-e-tark-e-ta.alluq ġhair kā likkhā lagā
sāhiloñ par ban sakā us se na kuchh rishta magar
us ne chhoḌā jab bhañvar meñ vo mujhe apnā lagā
maiñ ki mere umr guzrī inkisār-o-ijz meñ
kuchh mashīnoñ ko ḳhatā kartā huā bachcha lagā