suḳhan kiyā jo ḳhamoshī se shā.erī jaagī
charāġh lafzoñ ke jal uTThe raushnī jaagī
zid-e-malāl-o-masarrat meñ umr biit ga.ī
ye dev soyā na vo ḳhvāb kī parī jaagī
tū barf dard samundar meñ iztirāb aayā
to ḳhushk-chashm jazīre meñ kuchh namī jaagī
vahāñ zabāñ pe samundar kī ḳhushkiyāñ ubhrīñ
yahāñ zamīn ke hoñToñ pe kuchh hañsī jaagī
nazar nazar meñ samā.īñ halāvateñ 'shahpar'
ḳhayāl-e-lams-o-nazārā meñ sarḳhushī jaagī