zindagī apnī huī yaar kī fitrat kī tarah
ham bhī kal hoñ ki na hoñ us kī ināyat kī tarah
vaqt ham ko ye bure din na dikhātā ai kaash
ham bhī uTh jaate zamāne se mohabbat kī tarah
ham to har lamhe ko dete rahe sāñsoñ kā hisāb
ham pe TuuTā hai har ik lamha qayāmat kī tarah
gul khilā.egā ye maqtūl-lahū dhartī par
kisī ruḳhsār pe chaḌhtī huī rañgat kī tarah
log kahte haiñ na kyoñ bhuul gayā maiñ us ko
vo ki thā jo mirī buniyādī zarūrat kī tarah
zindagī to kisī sāġhar meñ Dhalī to hotī
ham to pī lete tujhe jām-e-shahādat kī tarah